dil ko dekho, cheharaa na dekho
chehare ne laakho.n ko luuTaa
haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa,
dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa
jo apanii sachchii suurat dikhaa de.n, aise nahii.n duniyaavaale
sab ne hii apane cheharo.n ke aage, jhuuTh ke parade hai.n Daale
miiThii hoTho.n pe baat, dil me.n rahatii hai khaat
dil kaa ho.nTho.n se naataa hii jhuuThaa
haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa,
dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa
tan se to aazaad ham ho gaye hai.n, man se ga_ii naa gulaamii
paradeshii bhaashhaa aur veshh ko hii, dete hai.n ab tak salaamii
bhuulakar apanaa ra.ng, siikhe auro.n kaa Dha.ng
apanepan kaa chalan hamase chhuuTaa
haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa,
dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa
marzii tumhaarii tum kuchh bhii samajho, jo ham hai.n vo ham hii jaane
ra.ng ruup dekhe.n to dekhe.n zamaanaa, ham pyaar ke hai.n dIvaane
puuje dhan ko sa.nsaar, hame man se hai pyaar
dhan kisii baat par hamase ruuThaa
haa.N, dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa,
dil sachchaa aur cheharaa jhuuThaa
|