giitaayan An Interface to ISB

dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai - Son Of India (1962)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
lataa: dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai aavaaz de tuu kaun sii nagarii me.n chhupaa hai dil to.Dane vaale ... tuu ham ko jo mil jaae to haal apanaa sunaae.n Kud roe.n kabhii aur kabhii tujhe rulaae.n vo daaG dikhaae.n jo hame.n tuune diyaa hai rafii: ai dil ke sahaare tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai siine me.n terii yaad kaa tuufaan uThaa hai ai dil ke sahaare dil me.n to ye hasarat hai tere paas mai.n aauu.N nazaro.n se giraa huu.N to nazar kaise milaauu.N nazar kaise milaauu.N badanaam huu.N, naakaam huu.N, kyaa mujh me.n rahaa hai ai dil ke sahaare, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai lataa: dikhalaa ke kinaaraa mujhe mallaah ne luuTaa kashtii bhii ga_ii, haath se, patavaar bhii chhuuTaa patavaar bhii chhuuTaa ab aur na jaane merii taqadiir me.n kyaa hai dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai rafii: bechain udhar tuu hai, to majabuur idhar ham baiThe hai.n chhupaae hue, ashqo.n me.n teraa Gam ashqo.n me.n teraa Gam har choT ubhar aaii hai, har zaKm haraa hai lataa: dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.