giitaayan An Interface to ISB

aaj ham ishq kaa izahaar kare.n to kyaa ho - Trishul (1978)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Kishore, Lata 
View in Nagari (Hindi)
k : aaj ham ishq kaa izahaar kare.n to kyaa ho? l : jaan pahachaan se inkaar kare.n to kyaa ho? k : bharii mahafil me.n tumhe pyaar kare.n to kyaa ho? l : koshishe aap kii betaar kare to kyaa ho? k : kahate Daratii ho dil me.n maratii ho jaaneman tum kamaal karatii ho kahate Daratii ho dil me.n maratii ho jaaneman tum kamaal karatii ho k : aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n muskuraatii ho baato.n baato.n me.n dil lubhaatii ho narm saa.nso.n kii garm laharo.n se dil ke taaro.n ko gudagudaatii ho arre in sab baato.n kaa matalab pUchhe to ra.ng chehare kaa laal karatii ho jaaneman tum kamaal karatii ho l : chup bhii rahie ye kyaa kayaamat hai aap kii bhii ajIb aadat hai itanaa ha.ngaamaa kisaliye aakhir pyaar hai yaa koii musIbat hai jab bhii milate ho jaane tum kyaa-kyaa ulTe-sIdhe savaal karate ho jaaneman tum kamaal karate ho k : mastiyaa.n sii fazaa.n pe chhaayii hai.n vaadiyaa.n ra.ng me.n nahaaI hai.n l : narm-sabz-pe.D shokh phUlo.n ne makhamalii chhaadare.n bichhaayii hai.n k : aah, chho.Do sharamaanaa aise mausam me tabiyat kyo.n nihaal karatii ho ho! jaaneman tum kamaal karatii ho l : jab bhii milate ho jaane tum kyaa-kyaa ulTe-sIdhe savaal karate ho jaaneman tum kamaal karate ho
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.