giitaayan An Interface to ISB

do dil dha.Dak rahe hai.n aur aavaaz ek hai - Insaaf (1956)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Chitragupt | Singer(s): Talat, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aashaa : aa aa... h.n h.n... aa aa... do dil dha.Dak rahe hai.n aur aavaaz ek hai -2 talat : naGame judaa-judaa hai.n magar saaz ek hai dono.n : do dil dha.Dak rahe hai.n aur aavaaz ek hai -2 t: ra.Ngiin har adaa hai, bechain har nazar hai -2 a: ik dard saa idhar, ik dard saa udhar hai t: dono.n kii beqaraarii kaa a.ndaaz ek hai -2 do: naGame judaa-judaa hai.n magar saaz ek hai do dil dha.Dak rahe hai.n aur aavaaz ek hai a: ta.Dapaaiye na hamako, sharmaaiye na hamase -2 t: dono.n kii zi.ndagii hai ek duusare ke dam se -2 a: ham do kahaaniyaa.N hai.n magar raaz ek hai -2 do: naGame judaa-judaa hai.n magar saaz ek hai do dil dha.Dak rahe hai.n aur aavaaz ek hai -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.