##(Shammi and Binaa talking) ##
bI: kyA banaa rahe ho?
sh: kashtii banaa rahaa huu.N
bI: aur is kashtii me.n jaaoge kahaa.N?
sh: jahaa.N tak ye le jaaye, tum saath dogii kyaa?
bI: tumhaaraa dil kyaa kahataa hai?
sh: are mere dil ki kyaa baat, ye to bahut kuchh chaahataa hai, b ki chi hai
yahaa.N har kisii ke dil kI chaahat puurI ho jAtI hai?
bI: isakaa javaab to dil hii de sakataa hai
sh: kisakaa dil, tumhaaraa yA meraa?
bI: savaal bahut Te.Dhaa hai
sh: magar javaab bahut sIdhaa hai, haa.n yaa naa
bI: agar mai.n naa kah duu.n to?
sh: aur agar mai.n tumhaarii naa ko haa.n samajhuu.N to?
bI: agar tum aise hii merI har baat kA ulTaa matalab nikAloge to mai.n haa.n
kah duu.ngii
sh: are yahii to mai.n sunanaa chaahataa thaa, haa haa haa haa
(r: rafii, a: aashaa)
r: ek to suurat pyaarii aur uupar se ye naaz,
dil lene ke taubaa ye kaise hai.n a.ndaaz
a: tumhI bataa do aijii kyaa sachchii hai ye baat
nIlI aa.Nkho.n vAle hote hai.n dhokhebaaz
r: idhar ye nigaahe.n, udhar vo ghaTaaye.n, dil kyaa kare dIvaanaa
a: ye baate.n anjaanI, nA jaano.n mai.n dIvaanI, tum hii zaraa samajhaanaa
r: ek dIvaane ko kyaa samajhaayegaa dIvaanaa
r: barasatI bahaare.n, machalatI phuhaare.n, uf ye samaa mastaanaa
a: ye rimajhim paanii, kare hai manamaanii, dil bhii huaa begaanaa
r: yahI to hai jii, dil vaalo.n kaa zamaanaa
dono jidhar ham jaae.n, chaman khil jaae.n, ha.Nsaane lage ye nazaare.n
dono jahaa.N pe ruk jaae.n, vahii.n pe jhuk jaae.n, kyaa chaa.Nd kyaa sitaare
dono hai, ishaare pe chale hamaare ye zamaanaa
|