ki: kashtI kA khaamosh safar hai, shaam bhI hai tanahaaI bhI
dUr kinAre par bajatI hai laharo.n kI shahanAI bhI
aaj mujhe kuchh kahanA hai, aaj mujhe kuchh kahanA hai
lekin ye sharmIlI nigaahe.n mujhako ijaazat de.n to kahU.N
ye merI betaab uma.nge.n tho.DI fursat de.n to kahU.N
su: jo kuchh tumako kahanA hai, vo mere hI dil kI baat na ho
jo mere Kvaabo.n kI ma.nzil us ma.nzil kI baat na ho
ki: kahate hue Dar sA lagatA hai, kahakar baat na kho baiThU.N
ye jo zarA sA saath milA hai, ye bhI saath na kho baiThU.N
su: kabase tumhaare raste pe mai.n, phUl bichhaaye baiThI hU.N
kah bhI chuko jo kahanA hai mai.n aas lagaaye baiThI hU.N
ki: dil ne dil kI baat samajh lI, ab mu.Nh se kyA kahanA hai
aaj nahI.n to kal kah le.nge, ab to saath hI rahanA hai
su: kah bhI chuko, kah bhI chuko jo kahanA hai
ki: chho.Do ab kyA kahanA hai
|