hamii.n se muhabbat hamii.n se la.Daa_ii
are maar Daalaa duhaa_ii duhaa_ii
abhii naasamajh ho uThaao na Kha.njar - 2
kahii.n mu.D na jaaye tumhaarii kalaa_ii
sitam aaj mujh par jo tum Dhaa rahii ho ho
ba.Dii Khuubasuurat nazar aa rahii ho
ye jii chaahataa hai ke Khud jaan de duu.N -2
muhabbat me.n aaye na tum par buraa_ii
hame.n husn kii har adaa hai gavaaraa
hasiino.n kaa Gussaa bhii lagataa hai pyaaraa
udhar tum ne tiir-e-nazar dil pe maaraa - 2
idhar hamane bhii jaan par choT khaa_ii
[I may be wrong about this last line]
karo Khuun tum yuu.N na mere jigar kaa
bas ik vaar kaafii hai tirchhii nazar kaa
yahii pyaar ko aazamaane ke din hai.n - 2
kiye jaao ham se yuu.N hii bevafaa_ii
|