giitaayan An Interface to ISB

har koii chaahataa hai, ik muTThii aasamaan - Ek Mutthi Aasmaan (1973)  

Lyrics: Indeevar | Music: Madan Mohan | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
har koii chaahataa hai, ik muTThii aasamaan har koii Dhuu.NDhataa hai, ik muTThii aasamaan jo siine se lagaa le, ho aisaa ik jahaan har koii chaahataa hai, ik muTThii aasamaan, har koii ... chaa.Nd sitaaro.n kaa melaa hai, ye dil phir bhii akelaa hai - 2 mahafil me.n hai shahanaaii, phir bhii dil me.n hai tanahaaii hai saa.Nso.n me.n jaise ka_ii tuufaan, har koii, har koii ... % (tej dhuun me.n) milataa nahii.n kyaa yahaa.N ai dil, phir kyo.n nA mile giito.n kI ma.njil chalate jaanaa yuu.N hii rAho.n me.n, bhar hii lagaa koI baaho.n mai.n hameshaa rahegaa nA dil vIraan, har koI, har koI ... % (tej dhuun) har koI ... mujhako jiine kA koI sahaaraa milaa, Gam ke tuufaan me.n koI kinaaraa milaa suunii suunii thI jo raahe.n, ban gayii pyaar kii baahe.n lo khushiyo.n se merI huii pahachaan, har koI, har koI ... % (dhiima dhuun) saudaa hai rishtedaarii, yaarii ek dikhaavaa hai apanA kyA hai duniyA me.n, man kA ek chhalaavaa hai kahaa.N milegaa tujhako yaar, zahar bharii duniyA me.n pyaar sabhii ajanabii hai.n sabhii anjaan - 2, har koI, har koI ... % (tej tej dhuun) insaan honaa kaafii hai, koI farishtaa nahii.n to kyA dilo.n ke rishte kyA kaam hai.n, khuun kA rishtaa nahii.n to kyA gair hii banate hai.n apane, sach ho jaate hai.n sapane jo dil kA ho sachchaa agar insaan, har koI, har koI ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.