giitaayan An Interface to ISB

is ishq-o-muhabbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n - Zulm Ki Pukaar (1979)  

Lyrics: Varma Malik | Music: Sonik-Omi | Singer(s): Rafi, Chandrani Mukherjee 
View in Nagari (Hindi)
m: is ishq-o-muhabbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n f: na ye tere bas me.n, na ye mere bas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n m: kabhii i.ntazaar karate, barasaat kii raato.n me.n kabhii raat guzar jaae, baato.n hii baato.n me.n f: ik dard machalataa hai, is dil kii nas-nas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n f: Gar hamako judaa kar de.n, ik baar jahaa.N ke sitam har baar janam lekar, har baar mile.nge ham m: yuu.N ahad-e-vafaa kar le.n, aa milakar aapas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n m: mai.n terii mohabbat me.n, har rasm nibhaa duu.Ngaa apanii nii.Nde.n dekar, tere Kvaab sajaa duu.Ngaa f: aisaa hii hotaa hai, jab dil na rahe bas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n % % % -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.