giitaayan An Interface to ISB

jaane vaalo.n zaraa, mu.D ke dekho mujhe - Dosti (1964)  

Lyrics: Majrooh | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(jaane vaalo.n zaraa, mu.D ke dekho mujhe ek insaan huu.N mai.n tumhaarii tarah) -2 jisane sabako rachaa, apane hii ruup se usakii pahachaan huu.N mai.n tumhaarii tarah jaane vaalo.n zaraa ... is anokhe jagat kii mai.n taqadiir huu.N -2 mai.n vidhaataa ke haatho.n kii tasaviir huu.N ek tasaviir huu.N is jahaa.N ke liye, dharatii maa.N ke liye shiv kaa varadaan huu.N, mai.n tumhaarii tarah jaane vaalo.n zaraa... man ke a.ndar chhipaae milan kii lagan -2 apane suuraj se huu.N ek bichha.Dii kiraN ek bichha.Dii kiraN phir rahaa huu.N bhaTakataa, mai.n yahaa.N se vahaa.N aur pareshaan huu.N, mai.n tumhaarii tarah jaane vaalo.n zaraa... mere paas aao chho.Do yah saaraa bharam -2 jo meraa dukh vahii hai tumhaaraa bhii Gam hai tumhaaraa bhii Gam dekhataa huu.N tumhe, jaanataa huu.N tumhe laakh anjaan huu.N, mai.n tumhaarii tarah jaane vaalo.n zaraa...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.