babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa
babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa
jab tak puure naa ho.n phere saat
tab tak dulhin nahii.n dulhaa kii
re tab tak babunii nahii.n babuvaa kii, naa, jab tak ...
ab hii to babuwaa pahalii hii bha.Nvar pa.Dii hai
ab hii to pahunaa dillii hii dUr ba.Dii hai
ho pahalii hii bha.Nvar pa.Dii hai, dillii duur ba.Dii hai
karanii hogii tapasyaa saarii raat, jab tak puure naa ...
jaise jaise bha.Nvar pa.De man a.Nganaa ko chho.De
ek ek bha.Nvar naataa anajaano.n se jo.De
man ghar a.Nganaa ko chho.De, anajaano.n se naataa jo.De
sukh kii badarii aa.Nsuu kii barasaat, jab tak puure naa ...
babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa
saat phere karo babuwaa bharo saat vachan bhii
aise kanyaa kaise arpaN kar de.n tan bhii man bhii
uTho uTho babunii dekho dekho dhruv taaraa
dhruv taare saa ho amar suhaag tihaaraa
ho dekho dekho dhruv taaraa, amar suhaag tihaaraa
saato.n phere saat janmo.n kaa saath, jab tak puure naa ...
|