giitaayan An Interface to ISB

jahaa.N Daal\-Daal par sone kii chi.Diyaa.n karatii hai.n baseraa - Sikandar-e-Azam (1965)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hansraj Behl | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jahaa.N Daal-Daal par sone kii chi.Diyaa.N karatii hai.n baseraa vo bhaarat desh hai meraa guruurbrahmaa, guruurviShNu, guruurdevo maheshwaraH guruuH saakShaat.h parabrahmaa, tasmai shrii gurave namaH jahaa.N Daal-Daal par sone kii chi.Diyaa.N karatii hai.n baseraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N satya ahi.nsaa aur dharm kaa pag-pag lagataa Deraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jay bhaaratii - 4 ye dharatii vo jahaa.N R^iShi-muni japate prabhu naam kii maalaa hari AUM - 4 jahaa.N har baalak ek mohan hai aur raadhaa ek-ek baalaa aur raadhaa ek-ek baalaa jahaa.N suuraj sabase pahale aakar Daale apanaa pheraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N ga.ngaa jamunaa kR^iShNaa aur kaaverii bahatii jaae.N jahaa.N uttar-dakShiN puurab-pashchim ko amR^it pilavaae.N ye amR^it pilavaae.N kahii.n ye to phal aur phuul ugaae.N, kesar kahii.n bikheraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa alabelo.n kii is dharatii ke tyohaar bhii hai.n alabele kahii.n divaalii kii jagamag hai, holii ke kahii.n mele holii ke kahii.n mele jahaa.N raag-ra.ng aur ha.Nsii-Khushii kaa chaaro.n or hai gheraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N aasamaan se baate.n karate.n ma.ndir aur shivaale kisii nagar me.n kisii dvaar par koii na taalaa Daale koii na taalaa Daale aur prem kii ba.nsii jahaa.N bajaataa aae shaam-saveraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N satya ahi.nsaa aur dharm kaa pag-pag lagataa Deraa vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai meraa jay bhaaratii - 4
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.