giitaayan An Interface to ISB

jigar kii aag se is dil ko jalataa dekhate jaao - Dopatta (Pakistan) (1952)  

Lyrics: Arsh Lucknowi | Music: Firoz Nizami | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
jigar kii aag se is dilako jalataa dekhate jaao luTii jaatii hai armaano.n kii duniyaa dekhate jaao lagii hai aag dil me.n aa.Nkh se aa.Nsuu barasate hai.n bharii barasaat me.n is ghar ko jalataa dekhate jaao isii din ke li_e bolo tumhe.n kyaa hamane chaahaa thaa ki ham barabaad ho.n aur tum tamaashaa dekhate jaao bahaa kar le chalii hai.n Gam kii mauje.n dil kii kashtii ko hamaare Duub jaane kaa nazaaraa dekhate jaao
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.