giitaayan An Interface to ISB

aane se usake aae bahaar, jaane se usake jaae bahaar - Jeene Ki Raah (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
aane se usake aaye bahaar, jaane se usake jaaye bahaar ba.Dii mastaanii hai merii mahabuubaa merii zindagaanii hai merii mahabuubaa... gunagunaae aise jaise bajate ho.n ghu.ngharuu kahii.n pe aake parvato.n se, jaise girataa ho jharanaa zamii.n pe jharano kii mauj hai vo, maujo.n kI ravaanii hai merii mahabuubaa is ghaTaa ko mai.n to usakii aa.Nkho.n kaa kaajal kahuu.Ngaa is havaa ko mai.n to usakaa laharaataa aa.Nchal kahuu.Ngaa huuro.n kii malikaa hai pariyo.n kii raanii hai merii mahabuubaa biit jaate hai.n din, kaT jaatii hai aa.Nkho.n me.n raate.n ham naa jaane kyaa kyaa karate rahate hai.n aapas me.n baate.n mai.n tho.Daa diivaanaa, tho.Dii sii diivaanii hai merii mahabuubaa ban sa.nvar ke nikale aae saavan kaa jab jab mahiinaa har koii ye samajhe hogii vo koii cha.nchal hasiinaa puuchho to kaun hai vo, rut ye suhaanii hai, merii mahabuubaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.