kahii.n duur jab din Dhal jaae
saa.Njh kii dulhan badan churaae
chupake se aae
mere Kayaalo.n ke aa.Ngan me.n
koii sapano.n ke diip jalaae, diip jalaae
kahii.n duur ...
kabhii yuu.Nhii.n, jab huii.n, bojhal saa.Nse.n
bhar aa_ii baiThe baiThe, jab yuu.N hii aa.Nkhe.n
tabhii machal ke, pyaar se chal ke
chhue koii mujhe par nazar na aae, nazar na aae
kahii.n duur ...
kahii.n to ye, dil kabhii, mil nahii.n paate
kahii.n se nikal aae, janamo.n ke naate
ghanii thii ulajhan, bairii apanaa man
apanaa hii hoke sahe dard paraaye, dard paraaye
kahii.n duur ...
dil jaane, mere saare, bhed ye gahare
kho gae kaise mere, sapane sunahare
ye mere sapane, yahii to hai.n apane
mujhase judaa na ho.nge inake ye saaye, inake ye saaye
kahii.n duur ...
|