(kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyo.n
ab tumhaare havaale vatan saathiyo.n ) - (2)
saa.Ns thamatii ga_ii nabz jamatii ga_ii
phir bhii ba.Dhate kadam ko na rukane diyaa
kaT gaye sar hamaare to kuchh Gam nahii.n
sar himaalay kaa hamane na jhukane diyaa
marate marate rahaa baa.Nkaapan saathiyo.n, ab tumhaare ...
zi.ndaa rahane ke mausam bahut hai.n magar
jaan dene kii rut roz aatii nahii.n
husn aur ishq dono.n ko rusavaa kare
vo javaanii jo khuu.N me.n nahaatii nahii.n
baa.Ndh lo apane sar par kafan saathiyo.n, ab tumhaare ...
raah qurbaaniyo.n kii na viiraan ho
tum sajaate hii rahanaa naye qaafile
fatah kaa jashn is jashn ke baad hai
zi.ndagii maut se mil rahii hai gale
aaj dharatii banii hai dulhan saathiyo.n, ab tumhaare ...
khii.nch do apane khuu.N se zamii.n par lakiir
is taraf aane paaye na raavaN koii
to.D do haath agar haath uThane lage
chhuune paaye na siitaa kaa daaman koii
raam bhii tum tumhii.n lakshmaN saathiyo.n, ab tumhaare ...
|