giitaayan An Interface to ISB

kar liijiye chalakar mere jannat ke nazaare - Shahjehan (1946)  

Lyrics: Majrooh | Music: Naushad | Singer(s): Saigal 
View in Nagari (Hindi)
kar liijiye chalakar mere jannat ke nazaare jannat yah banaayii hai muhabbat ke sahaare phuulo.n se liyaa ra.ng sitaaro.n se ujaalaa har chiiz ko ik nuur ke Dhaa.Nche me.n hai Dhaalaa is Kvaab kii bastii kaa falak hai na zamii.n hai is husn kii duniyaa kii har ik chiiz hasii.n hai roshan hai fizaa aur nahii.n chaa.Nd-sitaare jannat yah banaayii hai muhabbat ke sahaare gaatii hai khushii naGame to ha.Nsataa hai vahaa.N Gam kaliyo.n kii ha.Nsii dekh ke rotii nahii.n shabanam fitarat kii zabaa.N par kahii.n mastii kaa fasaanaa chhe.Da hai khamoshii ne bhii puraqais taraanaa kuchh soye to kuchh jaage hue mast nazaare jannat ye banaayii hai muhabbat ke sahaare aThakheliyaa.N karatii huii chalatii hai.n havaae.n naGamo.n kii hai barasaat to zulfo.n kii ghaTaaye.n ra.ngiin huii aur bhii jannat kii kahaanii vah dekhiye (2) jhuule pe ruuhii kii javaanii betaab kiye dete hai.n maasuum ishaare, maasuum ishaare
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.