khudaa-e-bartar terii zamii.n par, zamii.n kii khaatir ye ja.ng kyo.n hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe khUn-e-iinsaa.n kaa ra.ng kyo.n hai
khudaa-e-bartar ...
zamii.n bhii terii, hai.n ham bhii tere, ye milkiyat kaa savaal kyaa hai
ye katl-o-Kuu.N kaa rivaaz kyo.n hai, ye rasm-e-ja.ng-o-jadaal kyaa hai
jinhe talab hai jahaan bhar kii, unhii kaa dil itanaa ta.ng kyo.n hai
khudaa-e-bartar ...
Gariib maa.No shariif behano.n ko amn-o-izzat kii zi.ndagii de
jinhe ataa kii hai tU ne taaqat, unhe hidaayat kii roshanii de
saro.n me.n kibr-o-Guruur kyo.n hai.n, dilo.n ke shiishe pe za.ng kyo.n hai
khudaa-e-bartar ...
Kazaa ke raste pe jaanevaalo.n ko bach ke aane kii raah denaa
dilo.n ke gulashan uja.D na jaae, muhabbato.n ko panaah denaa
jahaa.N me.n jashn-e-vafaa ke badale, ye jashn-e-tiir-o-tafa.ng kyo.n hai
khudaa-e-bartar ...
khudaa-e-bartar terii zamii.n par, zamii.n kii khaatir ye ja.ng kyo.n hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe khUn-e-insaa.n kaa ra.ng kyo.n hai
khudaa-e-bartar ...
|