giitaayan An Interface to ISB

tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e - Insan Aur Adami (Pakistan) (1972)  

Lyrics: Shabab Kiranvi | Music: M Ashraf | Singer(s): Noorjehan, Mehdi Hasan 
View in Nagari (Hindi)
sthaayii: nuurajahaa.N: (tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa) -2 tere dam se hai salaamat ye bahaar yaad rakhanaa tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa a.ntaraa 1: mehadii hasan: mere dil me.n bas rahii hai terii aarazuu kii Kushabuu -2 kisii aur kaa jahaa.N me.n na chalegaa mujh pe jaaduu tere naam par miTegaa dil-e-zaar yaad rakhanaa nuu: tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa a.ntaraa 2: nuu: tujhe chhiin le na mujhase kisii moD par zamaanaa -2 me: kabhii bhuul kar bhii dil me ye Kayaal tum na laanaa nuu: mere baaG me.n hai tujhase ye bahaar yaad rakhanaa tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa a.ntaraa 3: nuu: tere baad kyaa kahuu.Ngii dil-e-mubtilaa se apane -2 me: jo phiruu.N kabhii wafaa se to phiruu.N Kudaa se apane mere pyaar kii nishaanii ye si.ngaar yaad rakhanaa nuu: tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa tere dam se hai salaamat ye bahaar yaad rakhanaa tuu jahaa.N kahii.n bhii jaa_e meraa pyaar yaad rakhanaa ##Last line accompanied by humming by MH##
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.