haay mehamaan kahaa.N ye Gam-e-jaanaa.N hogaa
Kaanaa-e-dil to ko_ii roz me.n viraa.N hogaa
kosataa huu.N jo nasiibo.n ko to kahataa hai wo shoK
phir mohabbat na karegaa agar insaa.N hogaa
zi.ndagii ishq me.n mushkil hai to mar jaaye.nge
ab se wo kaam kare.nge ke jo aasaa.N hogaa
ab kahaa.N laKt-e-jigar siine me.n ai diidaa-e-tar
aur hogaa to sare goshaa-e-daamaa.N hogaa
Ab seene men jigar ke koi TukRe baaqee naheeN rahe.
% Jo the woh (aaNsoo kee shakl men) daaman ke kisee goshe men
% jazb ho chuke haiN.
% Mukesh's version has one more sher
dam merii aa.Nkho.n me.n aTakaa hai ke dekhuu.N to sahii
kyaa masiihaa se mere dard kaa darmaa.N hogaa
% ab maiN marne ke qareeb hooN. Magar dam ("aaKHiree saaNs")
% abhee bhee aaNkhoN men aTka huwa hai. (Abhee bhee thoRee
% ummeed baaqee hai ke) shaayad mehboob ke dil men mere dard
ke 'ilaaj ka KHayaal aa jaaye.
|