giitaayan An Interface to ISB

janam janam kaa hai ye naataa teraa meraa saajanaa - Amar Jyoti (1984)  

Lyrics: Naqsh Lyallpuri | Music: Jaidev | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
janam janam kaa hai ye naataa teraa meraa saajanaa saath kabhii na chhuuTe pyaar kabhii na TuuTe baalamaa banake sharmiilii dulhane.n saj-dhajake bahaare.n aa_e.Ngii.n miiThii-miiThii sii Kushabuu se man kii bagiyaa mahakaa_e.Ngii.n bas giit yahii duharaa_e.Ngii.n, amar rahegaa pyaar apanaa mai.n saritaa tuu saagar hai mai.n badarii tuu saavan hai mai.n chhavi huu.N su.ndar sapano.n kii tuu aashaa_o.n kaa darpan hai tuu maajhii mai.n naiyaa terii, ye pyaar banaa patavaar apanaa hai priit madhur sii raaginii jiivan biinaa ke taar kii jo dekhii tere naino.n me.n hai amar vo jyoti pyaar kii is paar kabhii us paar kabhii, hu_aa milan sau baar apanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.