giitaayan An Interface to ISB

kuchh din pahale ek taal me.n kamal ku.nj ke a.ndar - Laajwanti (1958)  

Lyrics: Majrooh | Music: S D Burman | Singer(s): Asha, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
kuchh din pahale ek taal me.n kamal ku.nj ke a.ndar rahataa thaa, ek ha.ns kaa jo.Daa ek ha.ns kaa jo.Daa ( roz roz roz bhor hote hii jab khil jaate kamal duur duur duur motii chugane ko ha.ns ghar se jaataa nikal ) -2 sa.ndhyaa hotii, sa.ndhyaa hotii ghar ko aataa jhuum jhuum ke kuchh din pahale... ( jab jab jab Dhal jaataa thaa din taare jaate the khil so jaate hil-mil ke vo dono.n jaise laharo.n ke dil ) -2 cha.ndaa ha.Nsataa, cha.ndaa ha.Nsataa dono.n kaa mukh chuum chuum ke kuchh din pahale... ( thii unakii ek nanhii sii beTii chhoTii sii ha.nsanii dono.n ke nayano.n kii vo jyotii ghar kii raushanii )-2 mamataa gaatii, mamataa gaatii aur muskaatii jhuum jhuum ke kuchh din pahale... kuchh din pahale ek taal me.n kamal kunj ke a.ndar kaun thaa? ek ha.ns kaa jo.Daa, ek ha.ns kaa jo.Daa ( phir ek din aisaa tuufaan aayaa chalii aisii havaa bechaare ha.nsaa u.D gae re hoke sabase judaa )-2 saagar-saagar, saagar-saagar saagar-saagar rote hai.n ab ghuum ghuum ke ghuum ghuum ke
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.