% prelude - missing from my copy.
% Its words should be available in Rakesh Pratap Singh's
% book on Talat.
% first few words, per hfgk, are:
dar-e-habiib se ham ...
su: apanaa banaa ke phir kyuu.N bhulaayaa
dil meraa naashaad hai, haay
aa mere sanam
ta: o.a.a aanaa bhii chaahuu.N kaise aa_uu.N
pehare pe sayyaad hai, haay
teraa huu.N, terii qasam
su: aa mere sanam
ta: o.a.a teraa huu.N, terii qasam
su: o.a.a apanaa banaa ke ...
ta: haay, aanaa bhii chaahuu.N ...
su: dil me.n hamaare dard jawaa.N hai, jawaa.N hai
itanaa bataa de ab tuu kahaa.N hai, kahaa.N hai
ta: merii zubaa.N par teraa bayaa.N hai
dil bhii wahii.n hai ab tuu jahaa.N hai, jahaa.N hai
su: kahaa.N hai? aa, mere sanam
ta: aa.a.a teraa huu.N, terii qasam
su: o.a.a apanaa banaa ke ...
ta: haay, aanaa bhii chaahuu.N ...
su: madahosh waade.n chaahat kii rasme.n, rasme.n
tuune wafaa kii khaa_ii thii qasame.n, qasame.n
ta: dekho kahii.n bewafaa naa samajhanaa
qisamat ke maare ko apanaa samajhanaa, samajhanaa
su: chalaa aa mere sanam
ta: aa.a.a teraa huu.N, terii qasam
su: o.a.a apanaa banaa ke ...
|