he chandravadan, chandaa kii kiran,
tum kis kaa chitr banaatii ho?
man ke bhaavo.n ko ruup ra.ng de.n
man hii man musakaatii ho
vo suuryamukhii tum chandramuukhii
aashaa kaa diip jalaatii ho
jab nain mile ho suuraj se
kyuu.N chaa.Nd se priit lagaatii ho
jab nain mile to hR^iday mile
jab rain hu_ii bechain hu_e
vo bhii sudh budh kho baiThaa hai
tum jisako paas bulaatii ho
tum jisakii sharan ho shyaam-varan
arpan hai jis pe tan-man-dhan
hai manamandir me.n chhipaa hu_aa
tum jis ko dekh lajaatii ho
|