kishor:
aa, muhabbat kii bastii basaa_e.Nge ham
is zamii.n se alag, aasamaano.n se duur
muhabbat kii bastii ...
lataa:
mai.n huu.N dharatii tuu aakaash hai, o sanam
dekh dharatii se aakaash hai kitanii duur
tuu kahaa.N, mai.n kahaa.N, hai yahii mujhako Gam
dekh dharatii se aakaash ...
kishor:
duur duniyaa se, ko_ii nahii.n hai jahaa.N
mil rahe.n hai.n wahaa.N par zamii.n aasamaa.N
chhup ke duniyaa se phir kyuu.N na mil jaa_e.N ham
is zamii.n se alag ...
lataa:
tere daaman talak ham to kyaa aa_e.Nge
yuu.N hii haatho.n ko phailaa ke rah jaa_e.Nge
ko_ii apanaa nahii.n besahaare hai.n ham
dekh dharatii se aakaash ...
|