giitaayan An Interface to ISB

is duniyaa kii pagaDaNDii par - Amrapali (1945)  

Lyrics: Miss Kamal / Pradeep | Music: Saraswati Devi | Singer(s): Amirbai 
View in Nagari (Hindi)
is duniyaa kii pagaDaNDii par tumhii.n ho mere saathii ik tumhii.n ho mere saathii mere dhu.ndale jiivanapath par tum ojaa kii baatii ik tumhii.n ho mere saathii tum ho mere din ke suuraj merii raat ke chandaa tum ne mujhako baa.Ndh liyaa hai Daal prem kaa fandaa mere raajakumaar ha.Nso mai.n tum pe bali bali jaatii ik tumhii.n ho mere saathii is vishaal sa.nsaar me.n mai.n ik akelii kaa.Np rahii thii merii jiivanavelii lekin jis din tum ko paayaa mai.nne man ko dhiir ba.Ndhaayaa apane ghar ko swarg samajh mai.n phuule nahii.n samaatii ik tumhii.n ho mere saathii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.