ziinat:
tuu cha.Ndaa mai.n chaa.Ndanii
ho teraa meraa, meraa teraa
janam janam kaa saath
haath paka.D kar chho.D na denaa
rahe haath me.n haath hamaaraa
ziinat:
mai.n baaGo.n kii moranii
aur tuu ghaTaa ghanaghor
mai.n sajan terii baawarii
aur tuu meraa chitachor
mai.n pyaasii ik ku.nj huu.N
saajan, tuu merii barasaat
dhanii raam:
ho.a.a aan basii tuu dil me.n mere
jaise phuul me.n baas
in naino.n ko har dam laagii
tere daras kii pyaas
tere binaa mohe kuchh naa bhaaye
bhuul gayaa har baat
dono.n:
mil ke na bichha.De do dil saajan
aisaa hove pyaar
bhuul se bhii patajha.D na aae
har dam rahe bahaar
ham tum dono.n jab mil baiThe.n
rahe sadaa phir raat
|