giitaayan An Interface to ISB

merii miTTii kii duniyaa niraalii - Sham Savera (1946)  

Lyrics: D N Madhok, Nazim Panipati | Music: Pt Amarnath | Singer(s): Rafiq Ghaznavi/ S D Batish 
View in Nagari (Hindi)
merii miTTii kii duniyaa niraalii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ## Part One - Sung by Rafiq Ghaznavi ## phuulo.n se ra.ng churaayaa kaa.NTo.n se dard milaayaa komal saa pa.nkha.Diyo.n se belo.n ne pyaar sidhaayaa mai.n huu.N sundaraban kaa maalii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ... hirano.n ne aa.Nkhe.n pherii.n moro.n ne naach sikhaayaa madh bharii koyal kii kuu kuu pii pii papiihaa ne gayaa ban ke pa.nchhii kii umadaa nishaanii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ... gurbo.n kaa saath jahaa.N hai pariyo.n kaa naach jahaa.N hai sundar taano.n kaa rasiilaa prem kaa giit jahaa.N hai mai.n ne jaaduu kii nagarii basaa lii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ... ## Part Two - Sung by S D Batish ## ho.n jahaa.N chaa.Ndanii raate.n pyaar-o-muhabbat kii ghaate.n sundar sunaharaa jiivan ho kyuu.N na ho.n pyaar kii baate.n tuu ne ga.ngaa kii nadiyaa bahaalii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ... jiivan me.n thaa jo a.Ndheraa kiraNo.n ne kiyaa saveraa khilaa kamal hai suhaanaa swarg banaa ghar teraa tuu ne priit nagariyaa basaalii o.a.a jahaa.N bhagawaan base.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.