aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare wo
aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare
muhabbat ke dariyaa pe dono.n the aaye
mai.n thii is kinaare, wo the us kinaare
aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare
kahaa.N mai.nne, aauu.N mai.n kaise, bataao
pareshaan dono.n ishq ke bichaare
aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare
isii bebasii me.n lahar ik aaii
chale.n dono.n milane usii ke sahaare
aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare
usii ke gale mil ke mai.n ha.Ns rahii thii
khulii aa.Nkh dekhaa to chhiTake the taare
aaye aaye hai.n sapane me.n hamaare
|