giitaayan An Interface to ISB

sab din ek samaan nahii.n thaa - (Non-Film)  

Lyrics: Faiyyaz Hashmi | Music: Kamal Dasgupta | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
(sab din ek samaan nahii.n thaa) /2 (ban jaa_uu.Ngaa kyaa se kyaa mai.n) /2 is kaa to kuchh dhyaan nahii.n thaa sab din ek samaan nahii.n thaa (us ne mujh ko thaa apanaayaa) /2 (banaa mai.n us kii jiivan chhaayaa) /2 (meraa gulashan haraabharaa thaa) /2 (uja.Daa yaa sunasaan nahii.n thaa) /2 sab din ek samaan ... (us ke gale kaa haar kabhii thaa mujh se us ko pyaar kabhii thaa) /2 (basaa huaa sa.nsaar hR^iday kaa) /2 (sab din to shamashaan nahii.n thaa) /2 sab din ek samaan ... (kabhii giit jo ha.Ns kar gaayaa) /2 (ro kar us ko ab doharaayaa) /2 (mai.n thaa swaamii sukh nagarii kaa) /2 (dukh kaa to mahamaan nahii.n thaa) /2 sab din ek samaan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.