% Part 1 of the song
%
nagarii merii kab tak yuu.N hii barabaad rahegii
duniyaa .a
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
nagarii merii kab tak yuu.N hii barabaad rahegii
aakaash pe nikharaa huaa hai chaa.Nd kaa mukha.Daa
bastii me.n Gariibo.n kii a.Ndhere kaa hai dukha.Daa
duniyaa .a
duniyaa yahii duniyaa hai to kyaa yaad rahegii
nagarii merii ...
kab hogaa saveraa
kab hogaa saveraa koii ai kaash bataa de
kis vaqt tak ai ghuumate aakaash bataa de
insaano.n par insaan kii bedaad rahegii
kahakaaro.n se kaliyo.n ke chaman guu.Nj rahaa hai
jharano.n ke madhur raag se ban guu.Nj rahaa hai
par meraa to, par meraa to
par meraa to fariyaad se man guu.Nj rahaa hai
par meraa to fariyaad se man guu.Nj rahaa hai
kab tak mere ho.nTho.n pe ye fariyaad rahegii
nagarii merii ...
%
% Part 2 of the song
%
% This part begins with ai chaa.Nd ... and not
% 'aavaaz do insaaf ko' which is the title on
% 78 RPM
%
ai chaa.Nd ummiido.n ko merii shammaa dikhaa de
ai chaa.Nd ummiido.n ko merii shammaa dikhaa de
Duube hue, khoe hue, suuraj kaa pataa de
rote hue jug biit gayaa ab to ha.Nsaa de
ai mere himaalaa, mujhe ye baat bataa de
ai mere himaalaa, mujhe ye baat bataa de
hogii merii bastii bhii kabhii Kair se aabaad
nagarii merii barabaad hai barabaad hai barabaad
barabaad hai barabaad
nagarii merii ...
jo aa.Nkh kaa aa.Nsuu hai, jo aaho.n kaa dhuaa.N hai
jo aa.Nkh kaa aa.Nsuu hai, jo aaho.n kaa dhuaa.N hai
vaarii meraa dil us pe, nichhaavar merii jaa.N hai
mujarim huu.N, gunaahagaar huu.N, us ko ye gumaa.N hai
aavaaz do insaaf ko insaaf kahaa.N hai
aavaaz do insaaf ko insaaf kahaa.N hai
ik bekas-o-majabuur pe ye zulm, ye bedaad
nagarii merii barabaad hai, barabaad hai, barabaad
barabaad hai, barabaad
nagarii merii ...
|