giitaayan An Interface to ISB

hamaarii hii muTThii me.n aakaash saaraa - Prahaar (1991)  

Lyrics: Mangesh Kulkarni | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Manna Dey / Kavita Krishnamurthy, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
##humming## hamaarii hii muThThii me.n aakaash saaraa jab bhii khulegii chamakegaa taaraa kabhii naa Dhale jo, vo hii sitaaraa dishaa jis se pahachaane sa.nsaar saaraa hathelii pe rekhaae.N hai.n sab adhuurii kis ne likhii hai.n nahii.n jaananaa hai.n sulajhaane un ko na aaegaa koii samajhanaa hai.n un ko, ye apanaa karam hai apane karam se dikhaanaa hai sab ko Kud kaa panapanaa, ubharanaa hai Kud ko a.Ndheraa miTaae jo nanhaa sharaaraa dishaa jis se pahachaane sa.nsaar saaraa hamaarii hii muThThii me.n ... hamaare piichhe koii aae naa aae hame.n hii to pahale pahu.Nchanaa vahaa.N hai jin par hai chalanaa na_ii piiDhiiyo.n ko unhii.n raasto.n ko banaanaa hame.n hai jo bhii saath aae.N unhe.n saath le le agar naa koii saath de to akele sulagaa ke Kud ko miTaa le a.Ndheraa dishaa jis se pahachaane sa.nsaar saaraa hamaarii hii muThThii me.n aakaash saaraa jab bhii khulegii chamakegaa taaraa kabhii naa Dhale jo, vo hii sitaaraa dishaa jis se pahachaane sa.nsaar saaraa ##humming##
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.