giitaayan An Interface to ISB

tumase kuchh kahanaa hai gar tum kuchh kahane do - Guest House (1959)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Chitragupt | Singer(s): Mukesh, Lata 
View in Nagari (Hindi)
M: tumase kuchh kahanaa hai, gar tum kuchh kahane do L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do M: in aa.Nkho.n.me.n rahana hai, agar pyaar se rahane do L: pahale dil ko najaroge, kuchh tiir to sahane do M: ha.Ns ha.Nsake sah le.nge, bade shokh se tiir chalaao L: ye fasaanaa hai puraanaa, koii baat nayii farmaao M: chalo juuTh sahii, per baat merii, ek baar bhii to sun lo M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do L: dil Dole, kuchh bole, bhalaa kaun ye samaje ishaare M: vo ishaaraa jo tumhara, to mai.n toD ke laa duu.n kinaare L: aaji tumase yakii.n kuchh humako nahi.n, jaraa ho.nsh kii baat karo M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do M: kuchh dinse mere dilme.in, koii ban ke khayaal aataa hai L: bato.nse bahalaanaa, tum ko yeh qamaal aataa hai M: sach kahate.in hai hum L: chalo khaao qasam M: chaahe apanii qasam le lo M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.