giitaayan An Interface to ISB

zaahid sharaab piine de ... mujhako yaaro maaf karanaa - Main Nashe Mein Hoon (1959)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiThakar yaa vo jagah bataa de jahaa.N par Kudaa na ho mujhako yaaro maaf karanaa mai.n nashe me.n huu.N ab to mumakin hai bahakanaa mai.n nashe me.n huu.N mujhako yaaro... kal kii yaade.n miT rahii hai.n dard bhii hai kam ab zaraa aaraam se aa jaa rahaa hai dam are aa jaa rahaa hai dam kam hai ab dil kaa ta.Dapanaa mai.n nashe me.n huu.N ab to mumakin hai bahakanaa mai.n nashe me.n huu.N mujhako yaaro... Dhal chukii hai raat kab kii uTh ga_ii mahafil mai.n kahaa.N jaauu.N nahii.n koii merii ma.nzil nahii.n koii merii ma.nzil do kadam mushkil hai chalanaa mai.n nashe me.n huu.N mujhako yaaro... hai zaraa sii baat aur chhalake hai.n kuchh pyaale par na jaane kyaa kahe.nge ye jahaa.N waale kahe.nge ye jahaa.Nwaale tum bas itanaa yaad rakhanaa mai.n nashe me.n huu.N ab to mumakin hai bahakanaa mai.n nashe me.n huu.N mujhako yaaro...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.