ai vatan ke sajiile javaano
mere naGme tumhaare liye hai.n
sar-faroshii hai iimaa.N tumhaaraa
jurrato.n ke parastaar ho tum
jo hifaazat kare sarahado.n kii
vo falak-bos diivaar ho tum
ai shujaa'at ke zindaa nishaano
mere naGme tumhaare liye hai.n
biiviyo.n maao.n behano.n kii nazare.n
tum ko dekhe.n to yuu.N jagamagaaye.n
jaise Khaamoshiyo.n kii zubaa.N se
de rahii ho.n vo tum ko du'aaye.n
qaum ke ai jarii paas_baan
mere naGme tumhaare liye hai.n
tum pe jo kuchh likhaa shaa'iro.n ne
us me.n shaamil hai aavaaz merii
u.D ke pahu.Nchoge tum jis ufaq par
saath jaayegii paravaaz merii
chaa.Nd taaro.n ke ai raazadaano
mere naGme tumhaare liye hai.n
|