giitaayan An Interface to ISB

khulii palak me.n jhuuthaa gussaa band palak me.n pyaar - Professor (1962)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
zaraa thaharo zaraa thaharo sadaa mere dil kii zaraa sunatii jaa_o khulii palak me.n jhuuthaa gussaa band palak me.n pyaar jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil aa.nkho.n me.n ikaraar kii jhalkii hotho.n par inkaar jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil jis din se dekhaa tumako tum lage mujhe apane se aur aake rahe aa.nkho.n me.n haay aur aake rahe aa.nkho.n me.n ik manachaahe sapane se samajh naa aaye kyaa jiitaa mai.n aur gayaa kyaa haar jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil ... tum pyaar chhupaake haare mai.n pyaar jataake haaraa ab to saarii duniyaa pe haay ab to saarii duniyaa pe zaahir hai haal hamaaraa pahu.nch ke is manzil pe lautanaa ab to hai dushwaar jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil ... ise merii baat na samajho kyaa banataa hai baat banaa ke kuchh kahanaa thaa mere dil kaa haay kuchh kahanaa thaa mere dil kaa jaataa huu.N vahii doharaa ke na ho yaqii.n to pa.Dhakar dekho aa.Nkho.n me.n ik baar jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.