giitaayan An Interface to ISB

teraa husn rahe meraa ishq rahe - Do Dil (1965)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
teraa husn rahe meraa ishq rahe, to ye subah ye shaam rahe na rahe chale pyaar kaa naam zamaane me.n, kisii aur kaa naam rahe na rahe teraa husn rahe ... ye shaam rahe na rahe merii pyaas kaa koii hisaab nahii.n, terii mast nazar kaa jawaab nahii.n - 2 isii mast nazar se pilaa_e jaa - 2 mere saamane jaam rahe na rahe teraa husn rahe ... ye shaam rahe na rahe mai.n bahakane lagaa huu.N samhaal zaraa, mere paas hii rah, kahii.n duur na jaa koii Thiik nahii.n ki bahaaro.n kaa yahaa.N aur qiyaam rahe na rahe % % qiyaam = existence, stay (staying still) [related to 'qaayam'] jo nigaah uThii to payaam milaa, jo nigaah jhukii to Salaam milaa isii waqt bujhaa de lagi dil kii, ye payaam-salaam rahe na rahe teraa husn rahe ... ye shaam rahe na rahe teraa husn rahe meraa ishq rahe, to ye subah ye shaam rahe na rahe chale pyaar kaa naam zamaane me.n, kisii aur kaa naam rahe na rahe teraa husn ... ye shaam rahe na rahe
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.