bhala thaa kitnaa apnaa bachapan
bhalaa thaa kitnaa
din bhar tuu pe.Do.n ke tale
rahatii thii pasaare aa.Nchal
aur mai.n Daalo.n se
phai.nkaa karataa thaa to.D ke phal
maalii thaa bas hamaraa dushaman
apnaa bachapan bhalaa thaa kitnaa
yaad bhii hai voh khel kii baat
jab ham nikaalate the baraat
la.Dake mujh ko dulhaa banaate
sakhiyaa.N tujhako banaatii.n dulhan
apanaa bachapan bhalaa thaa kitnaa
din ko khel me aur raato.n ko
baato.n me.n kho jaate the
raajaa raanii ke kisse
sunate sunate so jaate the
aa.Nkh me nii.nd kaa naam nahii.n thaa
dil me koso.n duur kii dha.Dakan
apanaa bachapan bhalaa thaa kitanaa
bhalaa thaa kitnaa apnaa bachapan
bhalaa thaa kitanaa
|