giitaayan An Interface to ISB

mere haal par bebasii ro rahii hai - Zamindar (1942)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi, Behzad Lucknowi | Music: Ghulam Haider | Singer(s): Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
mere haal par bebasii ro rahii hai zahe zindagii, zindagii ro rahii hai ajab haal me.n hai merii zindagaanii ki Gam ha.Ns rahe hai.n Kushii ro rahii hai merii aarazuu bhii ko_ii aarazuu hai abhii ha.Ns rahii thii abhii ro rahii hai ko_ii miT chukaa hai ko_ii miT rahaa hai magar ronevaalii abhii ro rahii hai nahii.n ko_ii duniyaa me.n saathii kisii kaa chaman ha.Ns rahaa hai kalii ro rahii hai mere haal par ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.