mai.n ne lakho.n ke bol sahe sitamgar tere liye
hu_aa jo gor-e-Gariibaa.n me.n ek roz guzar
to us jagah mujhe ik taazaa qabr aa_ii nazar
jo pa.Dh ke faatahaa chalane lagaa to mai.n ne sunaa
baa-zer-e-qabr ko_ii kah rahaa hai ro-ro kar
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye
Thahar gyaa mai.n vahii.n ruk gyaa qadam meraa
ilaahii kaun hai is qabr me.n ye mai.n ne kahaa
abhii mai.n bahr-e-tafukkar me.n Garq thaa 'naazish'
ki itane me.n phir usii qabr se ye aa_ii sadaa
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye
sunaa dobaaraa jo us se yahii bayaan-e-alam
to puuchhaa mai.n ne ki ai dardma.nd kushtaa-e-Gam
tuu kis ke hijr me.n muztir hai sab bataa lillaah
tuu kis kii yaad me.n ro-ro ke kahataa hai haradam
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye
|