ye faasale terii galiyo.n ke hamase tay na hue
hazaar baar ruke ham hazaar baar chale
na jaane kaun sii maTTii watan kii maTTii thii
nazar me.n dhuul jigar me.n liye Gubaar chale
ye kaisii sarahade.n ulajhii huii hai.n pairo.n me.n
ham apane ghar kii taraf uTh ke baar baar chale