giitaayan An Interface to ISB

lo shuru huii is baar ham me.n tum me.n taqaraar - Kashinath (1943)  

Lyrics: Pt Bhushan | Music: Pankaj Mullick | Singer(s): Asit Baran, Bela Mukherjee 
View in Nagari (Hindi)
be : lo shuru huii is baar ham me.n tum me.n taqaraar ab mere dil kaa daaG ho tum kuchh nahii.n gale kaa haar sunate ho? a : achchhaa, mai.n tere dil kaa daaG sahii par daaG huu.N pyaaraa pyaaraa bin daaG na degaa chaa.Nd kabhii Tha.nDaa miiThaa ujiyaaraa kaa.NTaa na lagaa ho phuul ke saath to phuul hai bilakul Kaar be : kyaa isii tarah kii hogii shuru ham me.n tum me.n taqaraar be : ham tum me.n hameshaa tanii rahegii kabhii na hogaa mel bhuule to na ho.nge abhii tumhe.n wo baalakapan ke khel is baar magar kuchh aisii Thanegii laakh banaae nahii.n banegii mil kar bhii rahe.nge alag-alag jaise paanii aur tel a : mai.n jaake kahii.n chhup jaauu.Ngaa aur piihuu piihuu kii bol ke bolii dil me.n dard uThaauu.Ngaa be : mai.n dil kaa dard miTaane aur man kaa miit manaane jhaT in charaNo.n me.n aana giruu.Ngii kar ke prem pukaar a : kyaa isii tarah kii hogii shuru ham tum me.n taqaraar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.