giitaayan An Interface to ISB

jo dil pe guzaratii hai dikhaa bhii nahii.n sakate - Dahej (1950)  

Lyrics: Shams Lakhnavi | Music: Vasant Desai | Singer(s): Jayshree 
View in Nagari (Hindi)
## Each sher is rendered slowly first followed by normal pace in the same style as shown for the first sher ## jo dil pe guzaratii hai dikhaa bhii nahii.n sakate aur chaahe sunaanaa to sunaa bhii nahii.n sakate jo dil pe guzaratii hai (dikhaa bhii nahii.n sakate) -2 aur chaahe sunaanaa to (sunaa bhii nahii.n sakate) -2 ho.nTho.n pe haa.Nsii aa_e to (ro detii.n hai.n aa.Nkhe.n) -2 Gam itane sahe hai.n ke (bhulaa bhii nahii.n sakate) -2 jo dil pe guzaratii hai ... jalataa hai jigar aur (mazaa lete.n hai.n shole) -2 ye aag hai ulfat kii (bujhaa bhii nahii.n sakate) -2 jo dil pe guzaratii hai ... aa.Nkho.n me.n chupaaye.n hai.n (muhabbat ke do aa.Nsuu.n) -2 Dar ye hai na kho jaaye.n (bahaa bhii nahii.n sakate) -2 jo dil pe guzaratii hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.