giitaayan An Interface to ISB

bhulaataa laakh huu.n lekin baraabar yaad aate hai.n - (Non-Film)  

Lyrics: Hasrat Mohani | Music:  | Singer(s): Mujaddad Niazi 
View in Nagari (Hindi)
bhulaataa laakh huu.n lekin baraabar yaad aate hai.n elaahii tark-e-ulfat par vo kyuu.n kar yaad aate hai.n na chhe.D ai ham-nashii.n kaifiat-e-sahbaa ke afasaane sharaab-e-beKudii ke mujh ko saaGar yaad aate hai.n nahii.n aatii to yaad unakii mahiino.n tak nahii.n aatii magar jab yaad aate hai.n to aksar yaad aate hai.n haqiiqat khul gaii hasrat tere tark-e-muhabbat kii tujhe to ab vo pahle se bhii ba.Dh kar yaad aate hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.