ye Kvaab saa dekhaa thaa bas jaan-e-vafaa tum ho
ham jaage to ye jaanaa jiine kii sazaa tum ho
aramaan bhare dil ko ik zahar pilaayaa hai
vah saaz ho tum jisane naGmo.n ko rulaayaa hai
ab tum hii zaraa socho kyaa isake sivaa tum ho
tum pyaasii nigaaho.n kii kyaa pyaas bujhaa_ogii
kuchh dard sivaa hogaa jab saamane aa_ogii
bejaan bahaaro.n kii bera.ng fizaa tum ho
jis haal me.n hai.n hamako us haal me.n rahane do
ashko.n kii zubaa.N se tum itanaa hame.n kahane do
jo ruuh ko jhulasaa de vo garm hawaa tumho
|