mat samajho niir bahaatii huu.N
mat rone se se kyaa kaam sakhii
in a.Nsuvan me.n hai shyaam sakhii
mai.n un me.n basaakar man kii chhavi
mai.n man hii man muskaatii huu.N
mat samajho niir bahaatii huu.N
ye aa.Nsuu dil ke sahaare hai.n
ye aa.Nsuu jaan se pyaare hai.n -2
mai.n in taqadiir ke taaro.n se
soye huye bhaag jagaatii huu.N
mat samajho niir bahaatii huu.N
har aa.nsuu me.n unakii muurat hai
ojhal phir bhii vo suurat hai
palako.n pe sajaakar a.nsuvan ko
mai.n pii kii darshan paatii huu.N
mat samajho niir bahaatii huu.N
mai.n jalatii jalatii buu.Ndo.n se
naino.n kii pyaas bujhaatii huu.N
mat samajho niir bahaatii huu.N
|