giitaayan An Interface to ISB

saat samundar paar ke gu.Diyo.n ke baazaar se - Taqdeer (1967)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata, Sulakshana Pandit, Meena Patki, Ila Desai 
View in Nagari (Hindi)
saat samundar paar ke gu.Diyo.n ke baazaar se achchhii sii gu.Diyaa laanaa gu.Diyaa chaahe naa laana pappaa jaldii aa jaanaa 1. tum pardes gae jab se bas ye haal huaa tab se dil diivaanaa lagataa hai ghar viiraanaa lagataa hai jhilamil chaa.Nd sitaaro.n ne daravaazo.n diivaaro.n ne sabane puuchhaa hai ham se kab jii chhuuTegaa Gam se kab jii chhuuTegaa Gam se kab hogaa unakaa aanaa, pappaa ... 2. maa.N bhii lorii nahii.n gaatii ham ko nii.nd nahii.n aatii khel khilaune TuuT gae sa.ngii saathii chhuuT gae jeb hamaarii khaalii hai aur baasii diivaalii hai ham sabako naa ta.Dapaao apane ghar vaapas aao apane ghar vaapas aao aur kabhii phir naa jaanaa, pappaa ... 3. Kat naa samajho taar hai ye kaagaz nahii.n hai pyaar hai ye duurii aur itanii duurii aisii bhii kyaa majabuurii tum koii naadaan nahii.n tum is_se anajaan nahii.n is jiivan ke sapane ho ek tumhii.n to apane ho ek tumhii.n to apane ho saaraa jag hai begaanaa, pappaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.