u: laharaatii huii.n raahe.n khole hue hai.n baahe.n
ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
la: palako.n pe gahare halke hai.n reshamii dhu.Ndhalake
ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
u: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
u: wo dekho zaraa parbato.n pe ghaTaae.N
hamaarii daastaa.N haule se sunaae.N
la: suno to zaraa ye phuulo.n kii waadii
hamaarii hii koii kahaanii hai sunaatii
u: sapano.n ke is nagar me.n
yaado.n kii rahaguzar me.n
ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
la: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
la: jo raaho.n me.n hai rut ne sonaa bikheraa
sunaharaa huaa teraa meraa saveraa
u: zamii.n so ga_ii barf kii chaadaro.n me.n
bas ik aag sii jalatii hai do dilo.n me.n
la: hawaae.N sanasanaae.N
badan kaa.Np jaae.N
ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
u: haa.N, ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
u: ye barasaat bhii kab thame kaun jaane
la: tumhe.n mil gaye pyaar ke sau bahaane
u: sitaaro.n kii hai jaise baaraat aaii
l: hamaare liye raat yuu.N jagamagaaii
u: sapane bhii jhilamilaae.N
la: dil me.n diye jalaae.N
u: ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
la: haa.N ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
dono.n:
haa.N ye ham aa gaye hai.n kahaa.N
|