giitaayan An Interface to ISB

har shai pe jaawaanii hai - Majboor (1948)  

Lyrics: Nazim Panipati | Music: Ghulam Haider | Singer(s): Geeta, Lata 
View in Nagari (Hindi)
giitaa: har shai pe jawaanii hai -2 haay mere ho.nTho.n pe ho.nTho.n pe saajan kii kahaanii hai haay saajan kii kahaanii hai lataa: o.a gorii badanaam na ho jaanaa -2 galii galii guu.Nje naa guu.Nje naa tere pyaar kaa afasaanaa haay tere pyaar kaa afasaanaa gii: o.a more saajan aan mile.nge -2 (manavaa kii bagiyaa me.n phuul khile.nge) -2 in phuulo.n ko khilane do do dil milate hai.n haay sajanii do dilo.n ko milane do haay do dilo.n ko milane do do: merii bagiyaa me.n phuul khile -2 duniyaa ko bhuul gayii bhuul gayii jab nain se nain mile haay jab nain se nain mile la: o.a pyaar buraa hai, pyaar na karanaa -2 a.Nkhiyaa.N kisii se chaar na karanaa -2 jise priit kaa rog lage din ko vo aahe.n bhare aahe.n bhare aur saarii raat jage haay aur saarii raat jage do: har shai pe jawaanii hai haay mere ho.nTho.n pe ho.nTho.n pe saajan kii kahaanii hai haay saajan kii kahaanii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.