mujhe beKudii ye tuune bhalii chaashanii chakhaaii
kisii aarazuu kii dil me.n nahii.n ab rahii samaaii
na hazar hai ne Katar hai na razaa hai ne duaa hai
na Kayaal-e-bandagii hai na tamannaa-e-Kudaaii
% hazar = caution, fear
% Katar = danger
na makaam-e-guftaguu hai na mahall-e-justajuu hai
na wahaa.N hawaas pahu.Nche.n na Kirad ko hai rasaaii
% hawaas = senses
% Kirad = intelligence
% rasaaii = arriving, reach
na makii.n hai ne makaa.N hai na zamii.n hai ne zabaa.N hai
dil-e-benawaa ne mere wahaa.N chhaavanii hai chhaaii
% makii.n = inhabitant/master (of a house), (also) grave
% dil-e-benawaa = a heart that is without prosperity/indigent
na visaal hai na hizraa.N na suruur hai na Gam hai
jise kahiye Kwaab-e-Gaflat so wo nii.nd mujhako aaii
% Kwaab-e-Gaflat = sound or unconscious sleep
|